Followers

Showing posts with label BEAUTIFULL HAMD PRAISING TO ALLAH. Show all posts
Showing posts with label BEAUTIFULL HAMD PRAISING TO ALLAH. Show all posts

Wednesday, August 12, 2020

SABHI KHUBI SABHI TAREEF (ALAAH KI TAREEF)

BISMILLAH......


Sabhi khubi sabhi tareef hai allah ko zeba 
buzurgi hai usi aaqha e aali jaah ko zeba 
vo hai saare jahano ka khudaaye barkaron waala (*2)
barabar saari maqhlukhat ka hai paalne waala 
bahut hi mehrbaan hai vo bada hi mehrbaan hai vo (*2)
sada rehmat  fasha rehmat fasha rehmat fasha hai vo

sabhi khubi sabhi tareef hai  allah ko zeba 
wahi roze khayamat ka aakela hukmra hoga (*2)
kisi ka mashwara hoga na koi darmiya hoga
khuda banda tere aage hum apna sar jhukate hai (*2)
tujhi ko poojte hai bas tujhi se lau lagate hai 

sabhi khubi sabhi tareef hai allah ko zeba 
khuda banda tujhi se chahte hai hum madadgaari (*2)
tujhe aati hai ahle aarzumondon ki deedari 
dikhade humko seedhi raah seedhi raah par lechal (*2)
jinhe tune nawaza hai unhi ki raah par lechal 

sabhi khubi sabhi tareef hai allah ko zeba 
na unki raah par lechal khudaai maar hai jin par (*2)
teri khufgi teri lanat teri  phatkaar hai jin par 
na unki raah par lechal bhatak kar rehgaye hai jo (*2)
volamma ki tarah chamke chamak kar rehgaye hai jo 

sabhi khubi sabhi tareef hai allah ko zeba 
buzurgi hai usi aaqha e aali jaah ko zeba ...!
                                                     JAZAKUMULLAHU KHAIRA 😇

PROPHETS NAMES NASHEED

BISMILLAH........... Assalatu alannabi wassalamu alarrasul Wal ambiyail mursaleen kullu hum mukramun Blessings be upon nabi , peace be upon ...